Behtareen Biwi Ki Pehchan

Behtareen Biwi Aur Behtreen shohar ki pechan!

✓ Jo Apne Shohar ki farmabardari aur Khidmat guzari ko apna farz-e-azeem samjhe.

✓ Jo Apne Shohar ke tamam Huqooq ada karne me kotahi na karen.

✓ Jo Apne Shohar ki Khubiyon per Nazar rakhe aur uske Aib aur Khamiyon ko nazar-andaz karti rahe.

✓ Jo Khud takleef utha kar Apne Shohar ko aaram pohchane ki humesha koshish karti rahe.

✓ Jo Apne Shohar se uski Aamdani se zyada ka mutaliba na kare aur jo mil jaye uspar Sabr-O-Shukr ke sath zindagi basar kare.

✓ Jo Apne Shohar ke siwa kisi Ajnabi Mard per nigah na dale na kisi ki nigah apne uper padhne de.

✓ Jo Parde me rahe aur Apne Shohar ki Izzat-O-Namoos ki hifazat kare.

✓ Jo Shohar ke Maal aur Makan-O-Saman aur khud Apni jaat ko Shohar ki amanat samajh ker har cheez ki hifazat-o-nigehbani karti rahe.

✓ Jo Apne Shohar ki Musibat me Apni Jani-O-Maali Qurbani ke sath wafadari ka saboot de.

✓ Jo Parhezgaari ki paband aur Deendaar ho, Huqooq Allah aur Huqooq Ul Ibad ko ada karti ho.

✓ Jo Padosiyon(Aurto) aur milne julne waali Aurton yaani saas, nanand, sasurali rishtedar ke sath Khush Akhlaqi aur Sharafat ka bartao kare.

✓ Jo Maika-O-Sasural dono Gharon me har dil Azeez aur Ba Izzat ho.


✦ Behtareen Shohar ki Pehchan

✓ Jo Apni Biwi ke sath narmiKhush Akhalqi aur Husne Sulooq ke saath pesh aaye.

✓ Jo Apni Biwi ke Huqooq ada karne me kisi kism ki Gaflat aur kotahi na kare.

✓ Jo Apni Biwi ka iss tarah ho kar rahen ke kisi Ajnabi Aurat per nigah na dale.

✓ Jo Apni Biwi ko apne Aish-O-Ishrat me barabar samjhe.

✓ Jo Apni Biwi par kabhi Zulm aur kisi Qism ki bhi Jyadati na kare.

✓ Jo Apni Biwi ki tang mizaji aur bad akhlaqi par Sabr kare.

✓ Jo Apni Biwi ki Khubiyo par Nazar rakhe aur Mamuli Galatiyon ko nazar andaz kare.

✓ Jo Apni Biwi ki Musibaton, Bimariyon aur Ranj-o-Gam me Diljoi aur wafadari ka saboot de.

✓ Jo Apni Biwi ko parde me rakh kar Izzat-o-Aabru ki hifazat kare.

✓ Jo Apni Biwi ko Zillat-o-Ruswayi se bachaye rakhe.

✓ Jo Apni Biwi ko Deendari ki takeed karta rahe aur shari’at ki raah per chalaye.

✓ Jo Apni Biwi ke Akhrajaat (kharche) me bakhili aur kanjoosi na kare.

✓ Jo Apni Biwi par iss tarah taabey me (Control) rakhe ke wo kisi burai ki taraf rukh bhi na kar sake.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez! Allah Rabbul Izzat Hum tamam ko kehne sun’ne se jyada amal ki toufiq de. Ameen!


Ghulam Nabi

6 Articles posts

Comments